اردو हिंदी
Be-ajal kaam na apna kisi unwan nikla | Shaahi Shayari
be-ajal kaam na apna kisi unwan nikla

Ghazal

Be-ajal kaam na apna kisi unwan nikla

Fani Badayuni

;

be-ajal kaam na apna kisi unwan nikla
dam to nikla magar aazurda-e-ehsan nikla

aa gai hai tere bimar ke munh par raunaq
jaan kya jism se nikli koi arman nikla

dil-e-agah se kya kya hamein ummiden thin
wo bhi qismat se charagh-e-tah-e-daman nikla

dil bhi tha munh se bas ek aah nikal jaane tak
aag sine mein laga kar gham-e-pinhan nikla

chaaragar naseh-e-mushfiq dil-e-be-sabr-o-qarar
jo mila ishq mein gham-KHwar wo nadan nikla

shikwa manzur nahin tazkira-e-ishq na chheD
ki wo dar-parda mera haal-e-pareshan nikla

bijliyan shaKH-e-nasheman pe bichhi jati hai
kya nasheman se koi soKHta-saman nikla

ab junun se bhi tawaqqo nahin aazadi ki
chaak-e-daman bhi ba-andaza-e-daman nikla

hae wo wada-e-farda ki madad waqt-e-aKHir
hae wo matlab-e-dushwar ki aasan nikla

shauq-e-betab ka anjam tahayyur paya
dil samajhte the jise dida-e-hairan nikla

us ne kya sina-e-sad-chaak se khincha 'fani'
dil main kahta hun wo kahta hai ki paikan nikla