be-ab-o-be-gyah hua us ko chhoD kar
kaise bujhaun pyas main patthar nichoD kar
wo bhi ajib sham thi jin saaton ke beach
main bhi bikhar bikhar gaya shishe ko toD kar
main ghar gaya hun rang-e-saped-o-siyah mein
wo KHush hai zafran ki ek shaKH toD kar
kuchh aur tez ho gai andar ki raushni
ek pal bhi mil saka na sukun aankh phoD kar
ab tak to sher-goi pe qane raha magar
tu bhi 'shakeb' ayaz koi toD-joD kar
Ghazal
Be-ab-o-be-gyah hua usko chhoD kar
Shakeb Ayaz