اردو हिंदी
Bazm mein zikr mera lab pe wo lae to sahi | Shaahi Shayari
bazm mein zikr mera lab pe wo lae to sahi

Ghazal

Bazm mein zikr mera lab pe wo lae to sahi

Sheikh Ibrahim Zauq

;

bazm mein zikr mera lab pe wo lae to sahi
wahin malum karun honT hilae to sahi

sang par sang har ek kuche mein khae to sahi
par bala se tere diwane khae to sahi

go janaze pe nahin qabr pe aae wo meri
shikwa kya kije ghanimat hai ki aae to sahi

kyunki diwar pe chaDh jaun koi kahta hai
panw kaTunga anguTha wo jamae to sahi

para-e-mushaf-e-dil the tere kuche mein paDe
aate panw ke tale shukr ki pae to sahi

saf be-parda nahin hota wo ghurfa mein na ho
rauzan-e-dar se kabhi aankh laDae to sahi

gah baDhata hai gahe mah ko ghaTata hai falak
par shab-e-hijr ko hum dekhen ghaTae to sahi

karun ek nale se main hashr mein barpa sau hashr
shor-e-mahshar mujhe sote se jagae to sahi

gir paDe the kai us kuche mein dil ke TukDe
aate panw ke tale shukr ki pae to sahi

the tumhin nikle jo us dam-e-bala se ai 'zauq'
warna the pech mein us zulf ke aae to sahi