اردو हिंदी
Bazm mein wo baiThta hai jab bhi aage samne | Shaahi Shayari
bazm mein wo baiThta hai jab bhi aage samne

Ghazal

Bazm mein wo baiThta hai jab bhi aage samne

Abdul Mannan Samadi

;

bazm mein wo baiThta hai jab bhi aage samne
main laraz uThta hun us ki har ada ke samne

tujh ko har dam mangta hun jagta hun raat bhar
aur kaise hath phailaun KHuda ke samne

munharif hota gaya har shaKHs apni rah se
koi Thahra hi nahin us ki sada ke samne

mujh pe hi ilzam rakh kar har taraf ruswa kiya
koi chaara hi nahin tha be-wafa ke samne

tez aandhi thi uDa kar le gai mujh ko kahan
ek tinka tha kahan rukta hawa ke samne