bazm KHali nahin mehman nikal aate hain
kuchh to afsane meri jaan nikal aate hain
roz ek marg ka aalam bhi guzarta hai yahan
roz jine ke bhi saman nikal aate hain
sochta hun par-e-parwaz sameTun lekin
kitne bhule hue paiman nikal aate hain
yaad ke soe hue qafile jag uThte hain
KHwab ke kuchh nae unwan nikal aate hain
baiThna chahti hai thak ke jo wahshat apni
kitne hi dasht-o-bayaban nikal aate hain
istiare hain jo aankhon se chhalak paDte hain
kitne hi ashk ke diwan nikal aate hain
ek zara chain bhi lete nahin 'tabish'-sahab
mulk-e-gham se nae farman nikal aate hain
Ghazal
Bazm Khaali nahin mehman nikal aate hain
Ain Tabish