bazm-e-tanhai mein aks-e-shoala-paikar tha koi
ya hamare samne yaadon ka lashkar tha koi
qurbaton ke ghaT par sukhi nadi sabit hua
faslon ke dasht mein gahra samundar tha koi
us ki sari iltijaen hukm Thahrai gain
jis ghaDi dekha gaya jame se bahar tha koi
dewta hai ab wahi mandir ke aasan par jama
Thokaren khata hua raste ka patthar tha koi
us ki KHwahish thi ki sath-e-ab par chal kar dikhae
kya muqaddar tha ki dariya ka muqaddar tha koi
karb apne baune-pan ka jhelta hun aaj tak
soch ubhri thi bujhi mere barabar tha koi
samne us ke agar suraj nahin tha 'ehtiram'
pani pani aaKHirash kyun shoala-paikar tha koi
Ghazal
Bazm-e-tanhai mein aks-e-shoala-paikar tha koi
Ehteram Islam