اردو हिंदी
Bazm-e-nashat-o-aish ka saman liye hue | Shaahi Shayari
bazm-e-nashat-o-aish ka saman liye hue

Ghazal

Bazm-e-nashat-o-aish ka saman liye hue

Mumtaz Ahmad Khan Khushtar

;

bazm-e-nashat-o-aish ka saman liye hue
aai saba bahaar-e-gulistan liye hue

uDta phira junun ye saman liye hue
yani hamare jeb-o-gareban liye hue

kab tak jiyega dar-e-fana mein bata to de
sar mein ghurur-e-alam-e-imkan liye hue

mere junun-e-ishq ki wusat na puchhiye
hai zarra zarra zor-e-bayaban liye hue

jis ko uTha sake na pahaD aur na aasman
wo bar-e-gham hain hazrat-e-insan liye hue

mere liye to bahr-e-alam ka ye haal hai
jo mauj uThi wo aai hai tufan liye hue

ek majma-e-bahaar-o-KHizan hai mera wajud
phirta hun sath gardish-e-dauran liye hue

aasan ho kyun na ahl-e-tajassus ko rah-e-shauq
hain apne sath zauq-e-farawan liye hue

pheri laga raha hun KHaridar ki hai fikr
phirta hun sar pe main gham-e-dauran liye hue

bahar-e-niyaz-e-naz hum aae hain le ke dil
dil mein hujum-e-hasrat-o-arman liye hue

'KHushtar' mujhe hai naz ki allah ke huzur
jaunga dil mein daulat-e-iman liye hue