اردو हिंदी
Bazm-e-jaanan mein mohabbat ka asar dekhenge | Shaahi Shayari
bazm-e-jaanan mein mohabbat ka asar dekhenge

Ghazal

Bazm-e-jaanan mein mohabbat ka asar dekhenge

Charkh Chinioti

;

bazm-e-jaanan mein mohabbat ka asar dekhenge
kis se milti hai nazar un ki nazar dekhenge

ab na palkon pe Tiko TuT ke barso ashko
un ka kahna hai ki hum dida-e-tar dekhenge

dhaDkano tez chalo Dubti nabzo ubhro
aaj wo bujhte charaghon ki sahar dekhenge

ai mere dil ke sulagte hue dagho bhaDko
hijr ki raat wo jalta hua ghar dekhenge

tere dar se hamein KHairaat mile ya na mile
hum tere dar ke siwa koi na dar dekhenge

mai-kade jumenge barsegi jawani ki sharab
wo chhalakti hui nazron se jidhar dekhenge

un ki nazron se hai wabasta zamane ki nazar
wo jidhar dekhenge sab log udhar dekhenge

aaj mazi ke fasane wo sunenge ai 'charKH'
meri barbaad umidon ke khanDar dekhenge