bazm-e-jaan phir nigah-e-tauba-shikan mange hai
lams shoale ka to KHushbu ka badan mange hai
qad-o-gesu ki shariat ka wo munkir bhi nahin
aur phir apne liye dar-o-rasan mange hai
raqs-e-kakul ke tasawwur ki ye shirin saat
shab ke phulon se mahakta hua ban mange hai
TuTte hain to bikhar jate hain miTTi ke huruf
zindagi jin se charaghon ka chalan mange hai
jis ko ghere hue rahte hain hawaon ke hisar
sham-e-jaan mujh se wahi dil ki lagan mange hai
muskurahaT wo ki phulon pe shakar barsawe
naz us reshmi mathe pe shikan mange hai
phul afsana bhi afsun bhi hai lekin 'tanwir'
chashm-e-KHun-basta naya tarz-e-suKHan mange hai
Ghazal
Bazm-e-jaan phir nigah-e-tauba-shikan mange hai
Tanveer Ahmad Alvi