bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karte ho
aur phir aankh churaate ho ye kya karte ho
baad mere koi mujh sa na milega tum ko
KHak mein kis ko milate ho ye kya karte ho
hum to dete nahin kuchh ye bhi zabardasti hai
chhin kar dil liye jate ho ye kya karte ho
kar chuke bas mujhe pamal adu ke aage
kyun meri KHak uDate ho ye kya karte ho
chhinTe pani ke na do nind bhari aankhon par
sote fitne ko jagate ho ye kya karte ho
ho na jae kahin daman ka chhuDana mushkil
mujh ko diwana banate ho ye kya karte ho
mohtasib ek bala-nosh hai ai pir-e-mughan
chaT par kis ko lagate ho ye kya karte ho
kaam kya dagh-e-suwaida ka hamare dil par
naqsh-e-ulfat ko miTate ho ye kya karte ho
phir isi munh pe nazakat ka karoge dawa
ghair ke naz uThate ho ye kya karte ho
us sitam-kesh ke chakmon mein na aana 'beKHud'
haal-e-dil kis ko sunate ho ye kya karte ho
Ghazal
Bazm-e-dushman mein bulate ho ye kya karte ho
Bekhud Dehlvi