اردو हिंदी
Bazm-e-alam mein bahut se humne mare hath-paon | Shaahi Shayari
bazm-e-alam mein bahut se humne mare hath-paon

Ghazal

Bazm-e-alam mein bahut se humne mare hath-paon

Mirza Maseeta Beg Muntahi

;

bazm-e-alam mein bahut se hum ne mare hath-paon
teri surat ke na dekhe pyare pyare hath-paon

bahr-e-ulfat mein bahut se hum ne mare hath-paon
lag rahe manind-e-KHas aaKHir kinare hath-paon

aashiq mu-e-kamar ki le KHabar o be-KHabar
sukh kar tinka hue hain us ke sare hath-paon

meri KHidmat se nihayat KHush hua wo bad-mizaj
wasl ki shab kaam aae apne bare hath-paon

bahr-e-hasti mein mila hum ko dur-e-maqsad na haif
mauj ke manind kya kya hum ne mare hath-paon

waqt-e-zabh bola ye qatil aashiq-e-nad-shad se
TukDe kar Dala kabhi tu ne jo mare hath-paon

khel rahta hai tawakkul par meri auqat ka
chalte-phirte hain hamare be-sahaare hath-paon

tikhi tikhi un ki chitwan banki banki un ki chaal
bholi bholi un ki surat pyare pyare hath-paon