bazm aaKHir hui shamon ka dhuan baqi hai
chashm-e-nam mein shab-e-rafta ka saman baqi hai
kaT gai umr koi yaad na manzar na KHayal
ek be-nam sa ehsas-e-ziyan baqi hai
kis ki jaanib nigaran hain meri be-KHwab aankhen
kya koi marhala-e-umr-e-rawan baqi hai
silsile us ki nigahon ke bahut dur gae
kar-e-dil KHatm hua kar-e-jahan baqi hai
hae ab tak wahi andaz-e-nazar hai us ka
ab bhi ek silsila-e-wahm-o-guman baqi hai
aaj ek umr mein us aankh ne puchha hai 'salim'
ab bhi kya pahli si be-tabi-e-jaan baqi hai
Ghazal
Bazm aaKHir hui shamon ka dhuan baqi hai
Saleem Ahmed