bayaz-e-kohna mein jiddat bhari tahrir rakhni hai
purani niyam mein yani nai shamshir rakhni hai
fasil-e-fikr se girta hua misra uThana hai
sirhane ab mujhe har dam kitab-e-'mir' rakhni hai
mujhe ta-umr ranj-e-qaid ko mahsus karna hai
mujhe ta-umr apne pas ye zanjir rakhni hai
sajao KHwab koi raat ki be-rang aankhon mein
agar baqi dilon mein KHwahish-e-tabir rakhni hai
KHudi se be-KHudi ki jang hai goya mujhe is pal
muqabil apne hi apni koi taswir rakhni hai
hamein apne lahu se dasht ek gulzar karna hai
hamein ta-hashr zinda azmat-e-takbir rakhni hai
use duniya ke har gham se mukammal pak to kar lo
agar is dil mein buniyaad-e-gham-e-shabbir rakhni hai
Ghazal
Bayaz-e-kohna mein jiddat bhari tahrir rakhni hai
Nadeem Sirsivi