bayan hon bhi to hon aaKHir kahan jo dil ki baaten hain 
na tanhai ki baaten hain na ye mahfil ki baaten hain 
murattab kar liya yun hum ne afsana mohabbat ka 
kuchh un ke dil ki baaten hain kuchh apne dil ki baaten hain 
jo un mein phans gaya phir rah par wo aa nahin sakta 
baDe chakkar ki baaten rahbar-e-manzil ki baaten hain 
tumhaara waz raaz-e-ishq kya kholega ai waiz 
zaban ki ye nahin hazrat ye chashm-o-dil ki baaten hain 
wo mahfil se juda bhi ho chuke mahfil ko garma kar 
magar mahfil mein ab tak garmi-e-mahfil ki baaten hain 
zaban se kuchh kaho sahab magar malum hai hum ko 
tumhaare dil ki sab baaten hamare dil ki baaten hain 
mujhe dars-e-sukun dete hain wo josh-e-tamanna mein 
udhar tufan ki KHwahish hai idhar sahil ki baaten hain 
main apne haal-o-mazi par bhi kuchh ai 'arsh' ro leta 
magar pesh-e-nazar is waqt mustaqbil ki baaten hain
        Ghazal
Bayan hon bhi to hon aaKHir kahan jo dil ki baaten hain
Arsh Malsiyani

