اردو हिंदी
Bayan-e-haal mufassal nahin hua ab tak | Shaahi Shayari
bayan-e-haal mufassal nahin hua ab tak

Ghazal

Bayan-e-haal mufassal nahin hua ab tak

Jahangeer nayab

;

bayan-e-haal mufassal nahin hua ab tak
jo masala tha wahi hal nahin hua ab tak

nahin raha kabhi main is ki dastaras se dur
meri nazar se wo ojhal nahin hua ab tak

bichhaD ke tujh se ye lagta tha TuT jaunga
KHuda ka shukr hai pagal nahin hua ab tak

jalae rakkha hai main ne bhi ek charagh-e-umid
tumhaara dar bhi muqaffal nahin hua ab tak

mujhe tarash raha hai ye kaun barson se
mera wajud mukammal nahin hua ab tak

daraaz dast-e-tamanna nahin kiya main ne
karam tumhaara musalsal nahin hua ab tak

baras kuchh aur meri jaan TuT ke mujh par
ye KHitta jism ka jal-thal nahin hua ab tak

na aaya baz wo 'nayab' apni fitrat se
wafa ka shahr bhi jangal nahin hua ab tak