اردو हिंदी
Bayan apna dukh ab kiya jae na | Shaahi Shayari
bayan apna dukh ab kiya jae na

Ghazal

Bayan apna dukh ab kiya jae na

Shah Husain Nahri

;

bayan apna dukh ab kiya jae na
bayan ke bina bhi jiya jae na

masarrat mile dekhne ki use
tasawwur bhi jis ka kiya jae na

kahan hai tu ai muntazir marg-e-man
ki ab mujh se tujh bin jiya jae na

bahut zaKHm khae meri aankh ne
darida ye manzar siya jae na

qadam chumti hai zamin meri 'shah'
magar mujh se badla diya jae na