bataur-e-yaadgar-e-zohd mai-KHane mein rakh dena
meri TuTi hui tauba ko paimane mein rakh dena
kaha tha ai dil-e-na-faham-o-nadan tujh se ye kis ne
KHuda-KHane ki hurmat ko sanam-KHane mein rakh dena
pasand aae na aae munhasir hai ye tabiat par
kisi ke samne dil hum ko nazrane mein rakh dena
dobara phir kisi din mere kaam aaegi ai saqi
jo mai pine se bach jae wo paimane mein rakh dena
kahin aaen kahin jaen kahin uTThen kahin baiThen
qadam hir-phir kar apna hum ko but-KHane mein rakh dena
charagh-e-anjuman apni ziya phailane wala hai
uTha kar shoala-e-ulfat ko parwane mein rakh dena
kahan hum DhunDte tujh ko phirenge us ghaDi saqi
subuhi ke liye thoDi si paimane mein rakh dena
nazar aate hain kuchh angur mujh ko ai mere saqi
lahu tauba ka un ke ek ek dane mein rakh dena
KHata-e-ishq par kyun 'nuh' apni jaan kho baiThe
raqam itni baDi aur is ko jurmane mein rakh dena
Ghazal
Bataur-e-yaadgar-e-zohd mai-KHane mein rakh dena
Nooh Narvi