bataun kya kisi ko main ki tum kya chiz ho kya ho
meri hasrat mere arman ho meri tamanna ho
mohabbat mein qalaq ho ranj ho sadma ho iza ho
ye sab kuchh ho koi parda-nashin lekin na ruswa ho
tum apne husn ki kya bul-hawas se dad paoge
use puchho mere dil se ki tum kya chiz ho kya ho
mere dil ko na mal talwon se apne mein ye Darta hun
kahin aisa na ho us mein koi KHar-e-tamanna ho
na dekhun kis tarah husn-e-KHuda-dad un hasinon ka
bhala un zahidon ki tarah kaun aankhon ka andha ho
teri taswir bhi hai bais-e-dil-bastagi lekin
use taskin kya ho jo teri baaton pe marta ho
'hafiz' aana hua hai phir azimabaad mein apna
phir agle walwale paida hue ab dekhiye kya ho
Ghazal
Bataun kya kisi ko main ki tum kya chiz ho kya ho
Hafeez Jaunpuri