batao maut kya hai zindagi kya
kisi ne bhed ye khola kabhi kya
ye aankhen surKH si kyun ho rahi hain
kisi ki yaad ki barish hui kya
bujhe hain kyun charagh-e-dil sabhi ke
hawa ne ki hai koi dil-lagi kya
hanse kyun phul sare khilkhila kar
kisi ne ki hai in ko gudgudi kya
mohabbat to mohabbat hi hai sahab
kahun us ko buri kya aur bhali kya
KHizan mein DhunDte ho KHushbuen tum
kabhi khilti hai shab mein bhi kali kya
nami hai aaj phir aankhon mein 'sima'
bahi hai aaj phir sukhi nadi kya
Ghazal
Batao maut kya hai zindagi kya
Seema Sharma Meeruthi