bataen kya tujh ko chashm-e-pur-nam hua hai kya KHun aarzu ka
bana gul-e-dagh-e-yas-o-hasrat jo dil mein qatra bacha lahu ka
dabe jo ghuT ghuT ke dil mein arman wo barq ban kar falak pe taDpe
jo walwala ji mein rah gaya tha wo bulbula ab hai aab-e-ju ka
abas hai to chaara-gar-e-pareshan na tujh se kuchh ban paDega darman
ki ho to tar-e-nafas se saman jarahat-e-dil ke ho rafu ka
khula lab-e-gor se ye uqda ki KHwab thi sab numud-e-hasti
wuquf na-mahrumi-e-manzil kamal hai meri justuju ka
na tujh ko mast-e-hawa-e-gulshan KHizan mein ai andalib dekha
nahin tu shaidai bagh-o-gul ka magar fidai hai rang-o-bu ka
use na phir kuchh diya dikhai nazar paDa wo jamal jis ko
khula haqiqat ka raaz jis par na us ko yara tha guftugu ka
hai naf-e-zat aur nasKH-e-hasti visal-e-jaanan ki shart-e-awwal
bhara manazir se hai jahan sab jo sirf darshan ka tu hai bhuka
tilism-e-dair-o-haram hai tujh par hanuz dilli hai dur nadan
wahan tera KHak dil lagega wo hai sarasar makan hu ka
KHabar kise subh-o-sham ki hai tainat aur quyud kaise
namaz kis ki wahan kisi ko KHayal tak bhi nahin wuzu ka
nahin muhit-e-rusum-o-millat hai be-nishan manzil-e-haqiqat
wahan na simran ki hatkaDi hai na tauq-e-zunnar hai gulu ka
hain gharq-e-bahr-e-mai-e-mohabbat wahan hai 'kaifi' ye sab ki haalat
hai daKHl saqi ki bazm mein kya surahi-o-saghar-o-subu ka
Ghazal
Bataen kya tujhko chashm-e-pur-nam hua hai kya KHun aarzu ka
Dattatriya Kaifi