اردو हिंदी
Bataen kya ki kahan par makan hote the | Shaahi Shayari
bataen kya ki kahan par makan hote the

Ghazal

Bataen kya ki kahan par makan hote the

Akhtar Razaa Saleemi

;

bataen kya ki kahan par makan hote the
wahan nahin hain jahan par makan hote the

suna gaya hai yahan shahr bas raha tha koi
kaha gaya hai yahan par makan hote the

wo jis jagah se abhi uTh raha hai gard-o-ghubar
kabhi hamare wahan par makan hote the

har ek samt nazar aa rahe hain Dher pe Dher
har ek samt makan par makan hote the

Thahar sake na 'raza' mauj-e-tund ke aage
wo jin ke aab-e-rawan par makan hote the