bataen kya ki aae hain kahan se hum kahan ho kar
nishan ab DhunDte-phirte hain ghar ka be-nishan ho kar
lubhane ko dil-e-shaida ke sari parda-dari thi
ayan ho tum nihan ho kar nihan ho tum ayan ho kar
hamari KHak ke zarre fana ho kar bhi chamkenge
uruj apna dikhaen ge ye najm-e-asman ho kar
dil-e-awara kyun tujh ko KHayal ku-e-jaanan hai
are nadan kahan ja kar rahega be-nishan ho kar
ye daur-e-mai-kashi har-waqt mahw-e-did rakhta hai
kahan aankhon mein ye ghaflat rahe KHwab-e-giran ho kar
musalman ho ke tark-e-but-parasti ai maaz-allah
KHuda ko hum ne pahchana hai shaida-e-butan ho kar
ye bar-e-masiyat manzil kaDi aur sham-e-tanhai
chale hain kya samajh kar hum bhi ruswa-e-jahan ho kar
abhi kya jaane kya kya rang wo ai 'shauq' badlega
zamin par ek karega hashr barpa aasman ho kar

Ghazal
Bataen kya ki aae hain kahan se hum kahan ho kar
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq