bataen kya amal ishq-e-haqiqi ka kahan tak hai
zamin kya aasman tak hai makan kya la-makan tak hai
tayyun se bari ho gar hai la-mahdud ka talib
ki hadd-e-mulk-o-duniya to wahin tak hai jahan tak hai
na ho aazad daur-e-charKH ki halqa-ba-goshi se
tera markuz dil-e-mao-shuma aur in-o-an tak hai
to bismillah ke gumbad mein kya hai moatakif zahid
sukun-e-KHatir-e-muztar hawason se aman tak hai
pahunch sakta hai kab sachchi KHushi ko aish-e-nafsani
ki wo to aab-e-ruknabaad wa ju-e-muliyan tak hai
hai shaiKH-o-barahman ke din ki had dair-o-kaba tak
sawad-e-din-e-ishq-e-be-gharaz kaun-o-makan tak hai
yaqin se aur amal se puKHtagi pai aqidat ne
pahunch teri to ai nadan bas wahm-o-guman tak hai
haqiqat husn ki aaina tujh par kyunki ho jati
nazar teri to zulf-o-KHal-o-abru-e-butan tak hai
jo hain mast-e-alast un ko KHumar-o-sukr ka Dar kya
nigah-e-tishna-kaam-e-ishq hi dast-e-mughan tak hai
hasir-e-ishq ko kab daKHl is mahfil mein hai 'kaifi'
bisat us ki faqat bain-o-buka aah-o-fughan tak hai
Ghazal
Bataen kya amal ishq-e-haqiqi ka kahan tak hai
Dattatriya Kaifi