bata tu dil ke bachane ki koi rah bhi hai
teri nigah ki nawak-fagan panah bhi hai
saza ke waste iqrar bhi gunah bhi hai
aur ek tum sa koi dusra gawah bhi hai
KHuda ka ghar bhi hai dil mein buton ki chah bhi hai
sanam-kada bhi hai dil apna KHanqah bhi hai
ajib haal hai duniya-parast logon ka
maad ka bhi KHayal aur fikr-e-jah bhi hai
ilahi KHizr kahun ishq ko ki ghol-e-tariq
ki rahbar bhi ye hai aur sadd-e-rah bhi hai
usi pe marte hain hum aur usi ko chahte hain
wahi hai aalim o dana wahi gawah bhi hai
gale se aa ke lipaT ja KHuda ko man o but
hai aaj tujh pe bhi jauban uruj-e-mah bhi hai
murad tujh se na mangun to kis se mangun main
tikaD-gada tere dar ka gada bhi shah bhi hai
agarche dil se hun banda buton ka main lekin
zaban pe kalma-e-tahrim-e-la-ilah bhi hai
gunah baKHsh de 'anjum' ke ai rahim o karim
ki pur-gunah bhi hai aur uzr-KHwah bhi hai
dikhaega kise mahshar mein apna munh 'anjum'
siyahkar bhi hai aur ru-siyah bhi hai
Ghazal
Bata tu dil ke bachane ki koi rah bhi hai
Mirza Asman Jah Anjum