bata kya kya tujhe ai shauq-e-hairan yaad aata hai
wo jaan-e-arzu wo rahat-e-jaan yaad aata hai
pareshan-KHatiri had se guzarti hai to wahshat ko
kisi ka aalam-e-zulf-e-pareshan yaad aata hai
guzarta hai kabhi jab chaudhwin ka chand badli se
mahin aanchal mein un ka ru-e-taban yaad aata hai
andheri raat mein jugnu chamakte hain to rah rah kar
dupaTTe ke sitaron ka charaghan yaad aata hai
ufuq par phailti hain surKHiyan jab subh-e-taza ki
koi sina pas-e-chaak-e-gareban yaad aata hai
kali ko phul bante dekh kar ahd-e-bahaaran mein
koi chehra bahut nau-KHez-o-KHandan yaad aata hai
ghazal jab chheD deta hai koi ahd-e-jawani ki
kisi ka jism-e-mauzun-o-ghazal-KHwan yaad aata hai
wo tufan karwaTen leta tha jo ek jism-e-raana mein
wo tufan ham-kinari ka wo tufan yaad aata hai
wo arman jo kisi ke shoKH honTon par machalta tha
wo arman bosa-e-lab ka wo arman yaad aata hai
wufur-e-shauq se KHud hath apne chum leta hun
wufur-e-shauq mein jab un ka daman yaad aata hai
bahut kuchh yaad aata hai 'rais' un ki judai mein
magar jaise koi KHwab-e-pareshan yaad aata hai
Ghazal
Bata kya kya tujhe ai shauq-e-hairan yaad aata hai
Rais Amrohvi