bastiyan luTti hain KHwabon ke nagar jalte hain
hum wahan hain ki jahan sham-o-sahar jalte hain
dil ke aiwan mein afsurda charaghon ka dhuan
dur kuchh dur wo yaadon ke khanDar jalte hain
phir kisi manzil-e-jaan-soz ki jaanib hain rawan
chob-e-sahra ki tarah ahl-e-safar jalte hain
yun to pur-amn hai ab shahr-e-sitamgar lekin
kuchh makan KHud hi sar-e-rahguzar jalte hain
hai ba-zahir koi shoala na chamak aur sharar
hum kisi gham mein ba-andaz-e-digar jalte hain
aatish-e-talKHi-e-haalat mein kya kuchh na jala
ab gila kya hai jo ehsas ke par jalte hain
go ho barfab bhi taskin hai dushwar 'sahar'
apni hi aag mein arbab-e-hunar jalte hain
Ghazal
Bastiyan luTti hain KHwabon ke nagar jalte hain
Abu Mohammad Sahar