bastiyan kaise na mamnun hon diwanon ki
wusaten in mein wahi lae hain viranon ki
kal gine jaenge zumre mein sitam-ranon ke
KHair mangenge agar aaj sitam-ranon ki
KHwab baatil bhi to hote hain tan-asanon ke
sai-e-mashkur bhi hoti hai giran-jaanon ki
zaKHm shaki hain azal se namak-afshanon ke
baat rakkhi gai har daur mein paikanon ki
wo bina saz bhi hote hain gulistanon ke
KHak jo chhante phirte hain bayabanon ki
TukDe jo ginte hain TuTe hue paimanon ke
jaan ban jate hain aaKHir wahi mai-KHanon ki
tewar aate hain haqiqat mein bhi afsanon ke
kuchh haqiqat bhi hua karti hai afsanon ki
ho bhi jate hain rafu chaak-girebanon ke
tang bhi hoti hai pahnaiyan damanon ki
ibrat-abaad bhi dil hote hain insanon ke
dad milti bhi nahin KHun-shuda armanon ki
zarre zindan-e-malamat bhi hain viranon ke
dar bana karti hain diwaren hi zindanon ki
Ghazal
Bastiyan kaise na mamnun hon diwanon ki
Mukhtar Siddiqui