اردو हिंदी
Bastiyan ho gain benam-o-nishan raaton-raat | Shaahi Shayari
bastiyan ho gain benam-o-nishan raaton-raat

Ghazal

Bastiyan ho gain benam-o-nishan raaton-raat

Khatir Ghaznavi

;

bastiyan ho gain benam-o-nishan raaton-raat
aise tufan bhi aae hain yahan raaton-raat

ji mein aata hai ki tabir tujhi se puchhen
ho gaya KHwab tera jism-e-jawan raaton-raat

sham hangama tha KHushiyan thin hasin chehre the
kho gai mahfil-e-ahbab kahan raaton-raat

husn jalta raha shamon ki tapan KHalwat mein
ho gai mashal-e-mahtab dhuan raaton-raat

ek jahangir KHamoshi ki rajaz-KHwani hai
ho gaya kya ye mere ghar ka saman raaton-raat

kaun in kaliyon ki qismat pe na roe 'KHatir'
jin ko kar deti hai taqdir jawan raaton-raat