basti tamam KHwab ki viran ho gai
yun KHatm shab hui sahar aasan ho gai
be-fikr ho gaya hun dil-o-jaan se is liye
us ki nigah-e-naz nigahban ho gai
hai martaba buland sitaron se ai falak
mera nasib KHak-e-khurasan ho gai
shaffaf tha ye shisha-e-dil us ke samne
bijli kaDak ke aap hi hairan ho gai
uljha hua tha ishq mein pahle hi na-murad
nagah ruKH pe zulf pareshan ho gai
Ghazal
Basti tamam KHwab ki viran ho gai
Afeef Siraj