basti se dur ja ke koi ro raha hai kyun
aur puchhta hai shahr tera so raha hai kyun
ruswaiyon ka Dar hai na purshish ka KHauf hai
daman se apne dagh-e-wafa dho raha hai kyun
kya lazzat-e-gunah se dil aashna nahin
sharminda mere haal pe tu ho raha hai kyun
wo un ki dil-fareb dil-araiyan kahan
mazi ke KHauf-zar mein ab kho raha hai kyun
'faruq'-ji ka kab koi pursan-e-haal tha
tanhaiyon ke ghaar mein dil ro raha hai kyun
Ghazal
Basti se dur ja ke koi ro raha hai kyun
Farooq Nazki