basti mein kami kis chiz ki hai patthar bhi bahut shishe bhi bahut
is mehr o jafa ki nagri se dil ke hain magar rishte bhi bahut
ab kaun batae wahshat mein kya khona hai kya paya hai
hathon ka hua shohra bhi bahut daman ne sahe sadme bhi bahut
ek johd o talab ke rahi par be-rah-rawi ki tohmat kyun
samton ka fusun jab TuT gaya aawara hue raste bhi bahut
mausam ki hawaen gulshan mein jadu ka amal kar jati hain
rudad-e-bahaaran kya kahiye shabnam bhi bahut shoale bhi bahut
hai yun ki tarab ke saman bhi arzan hain junun ki rahon mein
talwon ke liye chhaale bhi bahut chhaalon ke liye kanTe bhi bahut
kahte hain jise jine ka hunar aasan bhi hai dushwar bhi hai
KHwabon se mili taskin bhi bahut KHwabon ke uDe purze bhi bahut
ruswai ki shohrat kuchh jaano hurmat ki malamat kuchh samjho
'taban' hon kisi unwan sahi hote hain mere charche bhi bahut
Ghazal
Basti mein kami kis chiz ki hai patthar bhi bahut shishe bhi bahut
Taban Ghulam Rabbani