basti basti KHat-e-gum-gashta sa aawara hun
kal kahan koi mujhe rok le main kya jaanun
baal baDh jaen ki inkar ki taqat to mile
chahe phir apni hi aankhon ki tarah bujh jaun
wo KHala hai to KHala bhi hai hadon ka qaidi
main hun aazad to aazadi ka zindani hun
zindagi mujh ko ye zanjir-e-hawa de ke udas
main pareshan ki main sans liye jata hun
sud hone ka ada karna hi hai qiston mein
dosto talKH si ek baat kaho TuT girun
karb sa karb hai be-daur-o-zamana hona
us ka ek pal hun to kash ab use yaad aa jaun
qarz-KHwahon ki tarah waqt! gareban mat tham
qahqaha ek kahin rakkha tha diye deta hun

Ghazal
Basti basti KHat-e-gum-gashta sa aawara hun
Najeeb Ramish