basti basti jangal jangal ghuma main
lekin apne ghar mein aa kar soya main
jab bhi thakan mahsus hui hai raste ki
buDhe-bargad ke sae mein baiTha main
kya dekha tha aaKHir meri aankhon ne
chalte chalte raste mein kyun Thahra main
jab bhi jhuk kar milta hun main logon se
ho jata hun apne qad se uncha main
ThanDe mausam se bhi main jal jata hun
sukhi barish mein bhi aksar bhiga main
jab jab bachche buDhi baaten karte hain
yun lagta hai dekh raha hun sapna main
sare manzar sune sune lagte hain
kaisi basti mein 'tabish' aa pahuncha main
Ghazal
Basti basti jangal jangal ghuma main
Zafar Tabish