basta-lab tha wo magar sare badan se bolta tha 
bhed gahre paniyon ke chupke chupke kholta tha 
tha ajab kuchh sehr-saman ye bhi achraj hum ne dekha 
chhanta tha KHak-e-sahra aur moti rolta tha 
rach raha tha dhire dhire mujh mein nashsha tirgi ka 
kaun tha jo mere paimane mein raaten gholta tha 
Dar ke mare log the dubke hue apne gharon mein 
ek baadal sa dhuen ka basti basti Dolta tha 
kanp kanp uThta tha mera main hi KHud mere muqabil 
main nahin to phir wo kis par kaun KHanjar taulta tha
        Ghazal
Basta-lab tha wo magar sare badan se bolta tha
Urfi Aafaqi

