basiraton ka nazar ehtiram karti hai
samaaton se KHamoshi kalam karti hai
KHizan ka raaz jo aankhon pe munkashif ho jae
to zard rut bhi bahaaron ka kaam karti hai
kahan ka zarf kahan ka waqar ye duniya
nigah jeb pe rakh kar salam karti hai
zaruraten dar-e-shahi pe le ke jati hain
meri ana mujhe apna ghulam karti hai
hisar-e-sud-o-ziyan se nikal de ya-rab
ye zindagi mera jina haram karti hai
buland-o-past se parwaz mawara hai meri
ye kaenat mujhe zer-e-dam karti hai
KHuda ka shukr ki main KHud se aashna hun 'nadim'
meri nigah mera ehtiram karti hai
Ghazal
Basiraton ka nazar ehtiram karti hai
Nadeem Fazli