bashar ki zat ko gham se kahan mafar hai miyan
hazar kahiye koi gham nahin magar hai miyan
safar mein zad-e-safar hi to kaam aata hai
safar ko sahl na jaano safar safar hai miyan
malal kya karen dastar ke na hone ka
wabaal-e-dosh yahan to KHud apna sar hai miyan
ba-afiyat guzar aae the har talatum se
magar kinare pe ab Dubne ka Dar hai miyan
ye zindagi jo masail se par hai aaKHir tak
use basar bhi to karna baDa hunar hai miyan
jo ponchhe bhi koi aansu to ponchhe kis kis ke
har ek aankh yahan aansuon se tar hai miyan
zamana ho gaya bazi-e-dil to haare hue
rahi hayat so ab wo bhi daw par hai miyan
hai us ka talib-e-did aaina bhi main hi nahin
wo pur-kashish hai bahut jazib-nazar hai miyan
KHushi to hasti-e-na-moatabar na degi 'waqar'
jo rishta gham se hai wo phir bhi mo'atabar hai miyan
Ghazal
Bashar ki zat ko gham se kahan mafar hai miyan
Waqar Manvi