basar ho yun ki har ek dard hadisa na lage
guzar bhi jae koi gham to waqia na lage
kabhi na phul se chehre pe gard-e-yas jame
KHuda kare ki use ishq ki hawa na lage
nazar na aae mujhe husn ke siwa kuchh bhi
wo bewafa bhi agar hai to bewafa na lage
yahi dua hai wo jab ho jamal se aagah
libas-e-naz bhi pahne to dusra na lage
wo mehrban sa lage us ki kuchh karo tadbir
KHafa bhi ho to meri aankh ko KHafa na lage
mile jo nur-talab dil bhi yun munawwar ho
mera harif bhi sham-o-sahar bura na lage
kahan se laun 'hasan' guftugu mein wo andaz
mera kalam kisi ko bhi be-maza na lage
Ghazal
Basar ho yun ki har ek dard hadisa na lage
Hasan Nayeem