اردو हिंदी
Basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai | Shaahi Shayari
basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai

Ghazal

Basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai

Mah Laqa Chanda

;

basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai
KHuda ke fazl se aish-o-tarab ki ab kami kya hai

bayan main kya karun us ke shabistan ka ta'al-allah
qaza-o-qadr jis ke jashn ka ab kar-farma hai

saKHawat mein koi ham-sar na ho us ka zamanae mein
wahi karta hai pura jis ke dil mein jo irada hai

KHizar ki umr ho us ki tasadduq se aimma ke
nizam-ud-daula aasaf-jah jo sab ka masiha hai

bahi-KHwan-e-karam se hai sada ummid 'chanda' ko
kisi ki bhi na ho muhtaj tum se ye tamanna hai