basaraton pe bhanwar inkishaf karta hai
ki bulbule ka samundar tawaf karta hai
ajib bhul-bhulayyan hai justuju KHud ki
har ek naqsh-e-qadam inhiraf karta hai
maza to jab hai ki hum us ko na KHuda kar len
hawa ka ruKH jo hamare KHilaf karta hai
jise gunah ki taufiq hi na ho ta-umr
use KHuda na zamana muaf karta hai
lahu ki mar se bachiye ki josh mein aae
to qatra qatra badan mein shigaf karta hai
bala se rang-e-taghazzul meri ghazal mein nahin
nukila lahja ghuTan ko to saf karta hai
Ghazal
Basaraton pe bhanwar inkishaf karta hai
Muzaffar Hanfi