اردو हिंदी
Basai maine jo qalb-e-hazin mein | Shaahi Shayari
basai maine jo qalb-e-hazin mein

Ghazal

Basai maine jo qalb-e-hazin mein

Zulfiqar Ali Bukhari

;

basai main ne jo qalb-e-hazin mein
wo duniya kaam aai kar-e-din mein

wahi hai asal mein jaan-e-tamanna
jo hasrat hai nigah-e-wapsin mein

tere shauq-e-sarapa ki kashish hai
simaT aaya hun main apni jabin mein

hai pech-o-tab mein har mauj-e-sahil
wo betabi hai mauj-e-tah-nashin mein

haqiqat hai ki ho tum jaan-e-KHubi
ki KHubi hai watan ki sar-zamin mein

mohabbat hai ki wo aks-e-masarrat
utar aaya mere qalb-e-hazin mein

junun ke raj mein insaf hoga
na hoga farq jeb o aastin mein

bahut kuchh paoge duniya mein pyare
mohabbat paoge lekin hamin mein

'buKHari' ki taDap 'hafiz' ki masti
tumhaare naghma-e-wajd-afrin mein