basa-auqat mayusi mein ye aalam bhi hota hai
tabassum ki tahon mein ehtimam-e-gham bhi hota hai
KHushi tanha nahin aati jilau mein gham bhi hota hai
jahan hansti hain kaliyan girya-e-shabnam bhi hota hai
nai tahzib ke meamar shayad us se ghafil hain
ba-in aasar-e-alam darham-o-barham bhi hota hai
jo aankhen ghunghaTon mein rose ke faqon se pur-nam hain
un aankhon mein fusun-e-ismat-e-mariyam bhi hota hai
ba-ima-e-KHirad tum dekhte ho jis ko nafrat se
wo diwana KHirad ki asl ka mahram bhi hota hai
rabab-e-zindagi ke zamzamon par jhumne wale
har ek naghme mein na-malum sa matam bhi hota hai
wo insan naz karta hai jo awwal se sharafat par
bahakta hai to nang-e-azmat-e-adam bhi hota hai
jawani sail-e-sher-o-baada-e-naghma sahi lekin
ye tufan-e-latafat KHud-baKHud maddham bhi hota hai
jise koi samajh le sadgi se hasil-e-hasti
wo jab hasil nahin hota to aaKHir gham bhi hota hai
tabassum phul barsata hai jin rangin honTon se
unhi honTon pe ek din nala-e-paiham bhi hota hai
ba-juz zat-e-KHuda 'ehsan' koi bhi nahin apna
suna tha lakh dushman hon to ek hamdam bhi hota hai
Ghazal
Basa-auqat mayusi mein ye aalam bhi hota hai
Ehsan Danish