اردو हिंदी
Basa-auqat aa jate hain daman se gareban mein | Shaahi Shayari
basa-auqat aa jate hain daman se gareban mein

Ghazal

Basa-auqat aa jate hain daman se gareban mein

Saail Dehlvi

;

basa-auqat aa jate hain daman se gareban mein
bahut dekhe hain aise josh ashk-e-chashm-e-giryan mein

nahin hai tab zabt-e-gham kisi aashiq ke imkan mein
dil-e-KHun-gashta ya daman mein hoga ya gareban mein

mubarak baadiya-gardo bahaar aai bayaban mein
numud-e-rang-e-gul hai har sar-e-KHar-e-mughilan mein

ziyaada KHauf-e-ruswai nahin hai soz-e-pinhan mein
dhuan hota hai lekin kam charagh-e-zer-e-daman mein

hamesha pi ke mai jam o surahi toD deta hun
na mera dil tarasta hai na farq aata hai iman mein

maza kyun kawish-e-zaKHm-e-jigar ka aaj kam kam hai
namak ki koi chuTki rah gai hogi namak-dan mein

janab-e-qais ne dil se bhulaya donon aalam ko
junun ke chaar harfon ka sabaq lekar dabistan mein

bahaar aai mila ye hukm mujh ko aur bulbul ko
ki wo kaTe qafas mein KHak chhanun main bayaban mein

tarannum-reziyan bazm-e-suKHan mein sun ke 'sael' ki
guman hota hai bulbul ke chahakne ka gulistan mein