bas yunhi ek wahm sa hai waqia aisa nahin
aaine ki baat sachchi hai ki main tanha nahin
baiThiye peDon ki utran ka alaw tapiye
barg-e-sozan ke siwa darwesh kuchh rakhta nahin
uf chaTaKHne ki sada se kis qadar Darta hun main
kitni baaten hain ki danista jinhen socha nahin
apni apni sab ki aankhen apni apni KHwahishen
kis nazar mein jaane kya jachta hai kya jachta nahin
chain ka dushman hua ek masala meri taraf
us ne kal dekha tha kyun aur aaj kyun dekha nahin
ab jahan le jae mujh ko jalti-bujhti aarzu
main bhi is jugnu ka pichha chhoDne wala nahin
kaisi kaisi pursishen 'anwar' rulati hain mujhe
ketiyon se kya kahun main abr kyun barsa nahin
Ghazal
Bas yunhi ek wahm sa hai waqia aisa nahin
Anwar Masood