bas yahi to muddaa hai aap ke irshad ka
'shad' kis ne nam rakkha aashiq-e-nashad ka
lijiye hazir hai nazrana dil-e-nashad ka
Talna aasan na tha kuchh aap ke irshad ka
barq samjha hai jise sara zamana dekhiye
aasman par chaDh gaya lachha meri fariyaad ka
hashr se ishq-e-nihan ki aur shohrat ho gai
ek aalam qissa-KHwan nikla meri rudad ka
be-talluq ho ke rahna bagh-e-alam mein muhaal
pa-ba-gul hona to dekho sarw se aazad ka
baghban sayyaad gulchin sab ke sab dekha kiye
aashiyan ujDa kiya ek KHanaman-barbaad ka
tark-e-ulfat par jo main zinda raha ghabra gae
DhunDte hain ab naya pahlu koi bedad ka
zikr-e-dushman par mujhe jhuTlane wale phir tu kah
tum ho muztar kya bharosa hai tumhaari yaad ka
garmi-e-dagh-e-jigar se mom ho kar bah gaya
tum usi KHanjar ko samjhe the ki hai faulad ka
aankh se kuchh ho ishaara kuchh tabassum lab pe ho
'shad' karna kuchh nahin mushkil dil-e-nashad ka
teri sab sunte hain meri koi sunta hi nahin
kis se roun ja ke ab dukhDa teri bedad ka
'shad' yakta-e-jahan hai aap ke sar ki qasam
dekh lena ja-nashin hoga yahi ustad ka
Ghazal
Bas yahi to muddaa hai aap ke irshad ka
Murli Dhar Shad