bas teri had se tujhe aage rasai nahin di
main ne gali to koi ai mere bhai nahin di
mujhe har fikr se aazad samajhne wale
mere mathe ki shikan tujh ko dikhai nahin di
dil mein ek shor uTha hath chhuDane se tere
der tak phir koi aawaz sunai nahin di
phul kaDhe hain mere talwon pe wahshat ne meri
tapte sahra ne mujhe aabla-pai nahin di
ek-duje se yun wabasta hue hum donon
main ne chaha nahin us ne bhi rihai nahin di
wasl aaya tha tere hijr ka sauda karne
ishq ki hum ne magar pahli kamai nahin di
hath kya soch ke khincha hai sitam se us ne
main ne zaKHmon ki to 'zishan' duhai nahin di
Ghazal
Bas teri had se tujhe aage rasai nahin di
Zeeshan Ilahi