اردو हिंदी
Bas tamanna hai ishq-e-maula mein | Shaahi Shayari
bas tamanna hai ishq-e-maula mein

Ghazal

Bas tamanna hai ishq-e-maula mein

Maatam Fazl Mohammad

;

bas tamanna hai ishq-e-maula mein
ki marun main yahi tamanna mein

ishq-e-KHuban nahin hai aisi shai
bandh kar rakhiye jis ko puDiya mein

ruKH-e-afshan mein tere aalam-e-nur
nam qamar mein hai nam surayya mein

yad-e-baiza ka hai KHayal aata
dekh mehndi tere kaf-e-pa mein

tere bimar-e-hijr ai mahbub
na to moti mein hain na ahya mein

wahdahu-la-sharik-la hai tu
tujh sa duniya mein hai na uqba mein

tujh ko kyun kar kahen hum harjai
nur to jalwa-gar hai har ja mein

kya kahun din ko kis qadar roya
raat dilbar ko dekh ruya mein

ishq lagte hi ho gaya malum
haal-e-majnun ishq-e-laila mein

maraz-e-ishq husn-e-KHuban ka
marg darman hai nam hukama mein

hasil-ul-amr hum hue badnam
ishq husn-e-butan-e-zeba mein

ruKH-e-yusuf se ruKH mushabah hai
lab hain milte lab-e-masiha mein

aab-e-baran se gir na pae madad
KHak paD jae chashm-e-dariya mein

ye dua haq se hai mera 'matam'
dafn ho karbala-mualla mein