bas ruh sach hai baqi kahani fareb hai
jo kuchh bhi hai zamini zamani fareb hai
rang apne apne waqt pe khulte hain aankh par
awwal fareb hai koi sani fareb hai
saudagaran-e-shoalagi-e-shar ke dosh par
mushkiz-gan se jhankta pani fareb hai
is ghumti zamin pe dobara milenge hum
hijrat farar naql-e-makani fareb hai
dariya ki asl tairti lashon se pochhiye
Thahraw ek chaal rawani fareb hai
ab sham ho gai hai to suraj ko roiye
hum ne kaha na tha ki jawani fareb hai
bar-e-digar samay se kisi ka guzar nahin
aaindagan ke haq mein nishani fareb hai
ilm ek hijab aur hawas aaine ka zang
nisyan haq hai yaad-dahani fareb hai
tajsim kar ki KHwab ki duniya hai jawedan
taslim kar ki aalam-e-fani fareb hai
'shahid' darogh-goi-e-gulzar par na ja
titli se puchh rang-fishani fareb hai
Ghazal
Bas ruh sach hai baqi kahani fareb hai
Shahid Zaki