اردو हिंदी
Bas lamhe bhar mein faisla karna paDa mujhe | Shaahi Shayari
bas lamhe bhar mein faisla karna paDa mujhe

Ghazal

Bas lamhe bhar mein faisla karna paDa mujhe

Adeel Zaidi

;

bas lamhe bhar mein faisla karna paDa mujhe
sab chhoD-chhaD ghar se nikalna paDa mujhe

jab apni sar-zamin ne mujh ko na di panah
anjaan wadiyon mein utarna paDa mujhe

panw mein aable the thakan umr bhar ki thi
rukna tha baiThna tha pa chalna paDa mujhe

apni parakh ke waste tufan ke darmiyan
mazbut kashtiyon se utarna paDa mujhe

teri ana ke hath mein the tere faisle
tu to badal na paya badalna paDa mujhe

be-intiha tazad tha donon ki soch mein
kuchh yun bhi raste ko badalna paDa mujhe

ye bhi hua ki ba-dil-e-na-KHwasta kabhi
zinda haqiqaton se mukarna paDa mujhe

yakja raha ek umr magar teri did ko
manind-e-musht-e-KHak bikharna paDa mujhe

aaghaz apne bas mein na anjam hi 'adil'
ek zindagi guzar ke marna paDa mujhe