bas ki pabandi-e-ain-e-wafa hum se hui
ye agar koi KHata hai to KHata hum se hui
zindagi tere liye sab ko KHafa hum ne kiya
apni qismat hai ki ab tu bhi KHafa hum se hui
raat bhar chain se sone nahin deti hum ko
itni mayus teri zulf-e-rasa hum se hui
sar uThane ka bhala aur kise yara tha
bas tere shahr mein ye rasm ada hum se hui
bar-ha dast-e-sitam-gar ko qalam hum ne kiya
bar-ha chaak andhere ki qaba hum se hui
hum ne utne hi sar-e-rah jalae hain charag
jitni bargashta zamane ki hawa hum se hui
bar-e-hasti to uTha uTh na saka dast-e-sawal
marte marte na kabhi koi dua hum se hui
kuchh dinon sath lagi thi hamein tanha pa kar
kitni sharminda magar mauj-e-bala hum se hui
Ghazal
Bas ki pabandi-e-ain-e-wafa humse hui
Khalilur Rahman Azmi