bas ki ek lams ki ummid pe ware hue hain
so tere samne ye KHak pasare hue hain
jaane kab un ko bujha baiThe koi baad-e-alam
sar-e-mizhgan-e-tamanna jo sitare hue hain
zindagi tu bhi hamein waise hi ek roz guzar
jis tarah hum tujhe barson se guzare hue hain
nit-nae naqsh karen us pe aziyyat ke raqam
aa ki hum taKHti-e-dil apni pachaare hue hain
kab kuchal jaen kisi panw se hum barg-e-wajud
waqt ki dhup mein waise hi karare hue hain
jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libas
hum tera rup jo aashuftagi dhaare hue hain
apni jurat ki sataish ho ki hum chob-mizaj
rabt rakhte hain sada un se jo aare hue hain
Ghazal
Bas ki ek lams ki ummid pe ware hue hain
Arshad Jamal u0027Sarimu0027